Mirza Ghalib (Mirza Asadullah Beg Khan) was the great and finest poet and shayar in Mughal Era of India was born in on 27 December 1797 in Agra (Uttar Pradesh).He has written thousands of Shayari, Sher or poems on love and affection Here we are presenting “Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak “
Mirza Ghalib – Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak In Hindi
आह को चाहिए एक उम्र असर होने तक
कौन जीता हैं तेरी ज़ुल्फ़ कि सर होने तक
आशिक़ी सब्र तलब और तमन्ना बेताब
दिल का क्या रंग करून खून -ऐ -जिगर होने तक
हमने माना कि तग़ाफ़ुल न करोगे लेकिन
ख़ाक हो जायेंगे हम , तुमको खबर होने तक
ग़म -ऐ -हस्ती का असद किस से हो जुज़ मर्ग इलाज़
शम्मा हर रंग में जलती हैं सहर होने तक

Aah ko chahiye ek umr asar hone tak
Mirza Ghalib – Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak In English
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai tirii zulf ke sar hone tak
daam-e har mauj mein hai halqah-e sad kaam-e nihang
dekhein kyaa guzre hai qatre pah guhar hone tak
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuun khun-e jigar hone tak
ham ne maanaa kih tagaaful na karoge lekin
khaak ho jaaeinge ham tum ko khabar hone tak
partav-e khur se hai shabnam ko fanaa ki taaliim
main bhii huun ek inaayat kii nazar hone tak
yak nazar besh nahiin fursat-e hastii gaafil
garmii-e bazm hai ik raqs-e sharar hone tak
gam-e hastii kaa asad kis se ho juz marg ilaaj
shamma har rang mein jaltii hai sahar hone tak
Written By: Ghalib
Listen this Gazal (Aah ko chahiye ek umr asar hone tak )
More Sharyari :-
- Mirza Ghalib Shayari in Hindi & Ghalib Shayari Collection
- Best Shayari of Mirza Ghalib in Hindi 2 lines & 1 Lines
- Mirza ghalib shayari in hindi
- mirza ghalib poetry in hindi
- Hindi Shayari Collection [ Best Love & Sad Shayari In Hindi ]
- Mothers Day Quotes [ Share Happy Mother Day Quotes Free]*